Wo kehti hai mohabbat tumhe is duniya main nahi milegi
Main mohabbat dhundne nikla to
Dekhta hi dekhta reh gaya zamana
Aftaab ki mohabbat uski roshni se hai
Mehtaab ki mohabbat uski chandni raato se hai
Jugnuo ki mohabbat aandhero se hai
Baadlo ki mohabbat pani se hai
Zameen ki mohabbat darkhto se hai
Darkhto ki mohabbat uske phoole se hai
Phoolo ki mohabbat uspe mandrate Bhavro se hai
Aur un bhavro ki mohabbat shagista imarto main
Lage hue un chatto main jama shehed se hai
Main mohabbat dhundne nikla to
Dekhta hi dekhta reh gaya
Tum to kehti thi mujhe is duniya mian
Mohabbat nahi milegi
Insaano ko to mukra deti thi
Ab kaho kya kehti ho
Kya kudrat ko bhi mukrane
ka hunar hai tumharer pass
main mohabbat isis duniya se
dhund ke laya haoon
Written by Altamash
No comments:
Post a Comment